DOOB JA

Singer -Sunidhi Chauhan, King

Album/Movie - Bhoomi 2022

Lyricist - Shradha Pandit, King

Music -     Salim Sulaiman                                                                        

Director (music)-

Director (album)-Shakti Hasija

Cast -

Music Label- Salim Sulaiman





DOOB JA

Bade beqadar hain piya
Kaahe jalaaye jiya
Bade beqadar hain piya
Aisa bhi kya kar diya

Bade beqadar hain piya
Kaahe jalaaye jiya

Anjaane bante hai
Phir kyun tadapte hai
Anjaane bante hai
Itna bata do yeh dil kyon sulagte hai

Kyun doori sehte hai,
Kuch bhi na kehte hai
Doori kyon sehte hai
Tarse hue do badan kaise rehte hai

Doob ja
Doob ja aaja mujhme samaa
Doob ja, doob ja
Karle gunaah mujhme hoja fanaa

Main bhi dekhta hoon
Kaise pyaar na karna yaar gunaah hai
Dil fekta hoon
Sansaar yeh jhootha pyaar kahaan hai

Main sach jo keh doon
Meri jaan kyun rooth ti hai
Jism toh mil jaayein
Par rooh yeh chhoot ti hai

Meri aankhein hain band
Tabhi raaston se tera chehra guzarta nahi
Meri saansein rukti tu dosh deti ilzaam sambhalta nahi
Aur haal hi mein hum door hue tabhi waqt guzarta nahi
Na hote juda mera aansuon se bhara jaam chhalakta nahi
Mera aansuon se bhara, jaam chhalakta nahi

Jo bhi chaaho, tum aaj woh kar lena
Hum ko kas ke, baahon mein tum bhar lena
Baatein adhuri woh, karni zaruri hai
Baatein adhuri woh
Jaise bhi ho aaj karni toh poori hai

Jo bhi kahaani hai, ab toh nibhani hai
Raat ek baahon mein teri bitaani hai
Raat ek baahon mein teri bitaani hai

Doob ja
Doob ja aaja mujhme samaa
Doob ja
Karle gunaah mujhme hoja fanaa

Baatein woh honi zaroori jo hoti nahi kabhi kaam se
Rukna bhi utna zaroori ke jaayein na hum tere naam se
Par kya hi karein ab dooriyaan bhi kuch aisi hui hai
Ke faasle din se shuru aur khatam ho jaayein shaam pe

Bujhti nahi, kya pyaas hai ohh
Kya pyaas hai, tu hi bata de
Iss dard mein kya khaas hai ohh
Doob ja, doob ja karle gunaah